About Us
Welcome to Nyay Baba (न्याय बाबा)
Nyay Baba ek swatantra aur vishwasniya digital platform hai, jiska mukhya uddeshya aam janta tak Kanoon (Law), Consumer Rights (Grahak Adhikar), Banking Rules, Cyber Awareness aur Sarkari Yojnaon ki jankari saral aur aasan bhasha mein pahunchana hai.
Hamara Uddeshya (Our Mission):
Aksar kanooni niyam, banking shartein aur court ke kanoon itne kathin hote hain ki aam nagrik apne adhikar samajh nahi pate. Nyay Baba par hamara prayas hai ki har nagrik ko uske moolbhut kanooni aur aarthik adhikaron ke prati jagruk kiya jaye, taaki koi unka anuchit labh na utha sake.
Aapko Yahan Kya Milega:
Kanooni Jankari (Legal Knowledge): Police rules, Zero FIR & general FIR prakriya, cheque bounce kanoon, aur naye criminal laws (BNS, BNSS) ke tahat aam nagrik ke kanooni adhikar.
Banking & Finance: CIBIL score sudharne ke niyam, loan rules, RBI guidelines, bank account debit freeze unfreeze karane ke tarike aur banking fraud se bachav.
Consumer Rights: Khareedari, online services ya company ki laparwahi ke khilaf consumer court jane ke niyam aur process.
Cyber Security: Online fraud, fake UPI scam se bachne aur national cyber crime portal par complaint darj karne ke sahi tareeqe.
About the Author / Founder:
Nyay Baba ki shuruat Mohit Vasave (BA, MA (economics) , LL.B ) dwara ki gayi hai, jo law ke student hain. Is platform ka maksad kisi commercial labh ke bajay complicated legal sections aur statutory rules ko factual research ke sath aam bhasha mein samjhana hai, taaki har nagrik apne kanooni adhikaron ke prati sashakt ban sake.
Disclaimer:
Nyay Baba par prashiddh (published) sabhi jankari keval educational aur legal awareness ke uddeshya se di gayi hai. Yeh kisi court, police ya official legal advice ka substitute nahi hai. Kisi bhi gambhir mamle mein kanooni visheshagya ya advocate se mashwara zaroor lein.
Sampark (Contact Us):
Agar aapke paas koi sujhav, feedback ya sawaal hai, toh aap hamare 'Contact Us' page ke zariye humse jud sakte hain ya seedha email bhej sakte hain.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें